-->

gkexpres site ke madat se hum logon ko new upcoming movie,current affairs new technology,historycal facts,indian ,odisha job,festivals,artichteture,internet,gk,earning app review,type ke sare jankari dete hain

बुधवार, 10 जून 2020

nua khai // western odisha nua khai festival 2020 // nua khai festival 2020

 Nua khai festival 2020,westarn odisha festval nua khai pachim odisha ke sambalpuri, bargarh, balangir, kalahandi, jaise ur bhi jagah me nua khai twihar manajata hai,2020 me nua khai ki date 23 agust ko hai, nua khai ek kisan ke parb hota hai jahan naya khana khaya jata hai sath mil ke so chelo isi bare me hum bat karte hai,
nua-khai-festival-history-in-hindi
nua khai
nua khai kiya hai-
    odisha ke paschim disa me rehenewale log binayak chaturdasi ke agle din unka sabse bada twihar hota hai nua khai,kisan jab sal me pehelibar kheti karta hai ur us kheti ki dhan jab pak jata hai to wo sal ka pehela dhan hota hai jise logo ne lake us dhan ko chawal banake nua khai ke din khate hai use nua khai kehete hai iska matlab ea hai ki nua khai ke din naya kahane khana hai jise nua khai kahajata hai,ea pratha sadion se cheli araha hai,

nua khai kese hota hai-
        nua khai har sal binayak chaturdasi(ganes puja) ke agle din hi hota hai,us din gaon ho ya seher har jagah me apne apne ghar se puja karke naya kapde sab log pehen ke ek jagah me ekitha hotehai,
jahan us gaon ke pujhari hota hai ur wo kheti se naya dhan ko lake puja karta hai,puja karne ke bat wohi dhan ko chawal banake prsad banajata hai ur har logon ko bitha ek sath khilaya jata hai wo khane ke bat hi usdin dusra kuch khasekte hai log, so prasad khane ke bat logo ko apni manpasand ke khana pet bhar khilaya jata hai (nt alwd nnvg) ,nua khai ke din khana khane ke bat apni umbra se bade logo ko namaskar karna padta hai, jise odia me kehete hai juhar,usdin gaon me ghum ghum ke juhar karna padta hai ea ek naya khai ka acha sanskar hai,nua khai ke din dusman bhi dost jaise milta hai,koi bhadbheb nehi hota hai, jo jiske sath chahe bate karsakta hai,kisi ko agar koi nehi dekhpata hai to wohi din dekhne ko jarur miljata hai,

nua-khai-gk-hindi

 nukhai ke din ka mahol-
      nukhai ek esa parb hai jo usdin dukhi ke man me bhi khusian bhardeti hai,nua khai sirf  twihar hi nehi ek milan ke din bhi hota hai,dunian ki kehin pe bhi agar log kuch karne keliye gaye honge to naya khai ke din wo log jarur ghar ko latenge naya khane keliye,usdin gaon ho ya seher ho hur log unke unke ghar me apko dekhne ko milenge,nukhai ke din sab log naya naya dresh pehenge ek hi jagah me ikitha honge ur puja hone ke bat sablog ek sath beith ke khana khaenge, khana khaneke bat kuchna kuch manoranjan hoga,khel kud dance kuch bhi,usdin har logo ke chehere pe khusina hota hai,jo bhi manoranjan hoga wo koi bahar bala ake nehi apne apne hi karte hai, ur jab rat hojata hia tab asli manaranjan start hota hai jaise drama,dance,sankritan, usdin sab log apni apni kala dekhate hai ur apne goan ke logoko manaranjan karte hai,
nua-khai-kiya-hai-

nua khai gk-
1-nuakhai har sal ganes puja ke agle din hi hota hai,
2- 2020 me nukhai 23 agust ko honewala hai,
3-nukhai sirf odisha ke paschim disa ki logoka parb hai,
4-nua khai ke din har log apne umbra se bade logon ko juhar yani namaskar karna padta hai,
5-nua khai festval sadion se cheli arehi hai,
6-nua khai ek paschim odisha ke sabse bade twihar hai,
7-nua khai ke din naya kapde pehen ke naya dhan ke prsad khaya jata hai,
8- nua khai ke din ghar se dur kehin bhi koi ho to wo chela ata hia ur apne gharse milpata hai,sach bat to ea hai ki nukhai ek apne se milneka ek mahamilan din hota hai,

                                  i love nua khai
     my dear reader-agar apko koi sikhayat  hai yafir koi rquest hai to ap hume niche emila karsekte ho ur hum uska jabab 24 hr ke andar dene keliye kosis karnge,thank you so much

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

how can i helf you

टिप्पणी: केवल इस ब्लॉग का सदस्य टिप्पणी भेज सकता है.