-->

gkexpres site ke madat se hum logon ko new upcoming movie,current affairs new technology,historycal facts,indian ,odisha job,festivals,artichteture,internet,gk,earning app review,type ke sare jankari dete hain

शनिवार, 6 जून 2020

About konark sun temple // konark temple history in hindi,gk,unkown fects,odisha history in hindi

  Konark temple history in hindi,about  konark temple,koanrk temple magnet rahasya,who built konark temple,wher is konark temple,what is konark temple,konark temple rahasya in hindi, konark temple gk,konark temple unknown fets in hindi,about konark temple,konark mandir ke kuch rochak baten,odisha ke historycal fects in hindi
About-konark-temple-history-in-hindi
gogle images
konark mandir kahan ur kabse hai-
      konark mandi jise surya mandir bhi kahajata  hai, ea dunia ke ek esa  mandir hai jahan koi bhi bhagban nehi hai isi mandir me surya(sun) ko bhagban manke puja kiya jata hai,ea mandir india ke odisha rajya me sthit puri distric ke chandrabhaga nadi ke kinare banaya gaya hai, konark mandir ko 13 century me banaya gaya tha,

konark mandir kisne ur kaise banaya tha-
     odisha ke nam jab utkala hua karta tha uswakt ek raja the jinka nam hai langula narasingha dev ea raja gang bans ke the,lanagula narasigha dev surya ko bhagban mante the ur wo surya bhagban ke ek bhakt the unke adesh me konark madir ko banaya gaya tha,ea mandir ko banane me bahut hi kathin ur dukh sehena pada tha karigaro ko, ea mandir ko banane keliye 1200 karigar ko din rat ek karke kam karna padatha,unhi  1200 karigaron me se sreth sadasiv samanta ry mahapatra ur unka sahayogi bisu maharana the jinka hisab se mandir banraha tha,1200 karigaro ne 12 sal(year) mehnat karne ke bat bhi  ye mandir ka  upri hisha yani mandir ke kumbh nehi banparaha tha,kiyun ki raja langula narasingha dev ko mandir ke upar magnety kalas banwana tha pr wo honehi paraha tha ea dekh ke raja ne krodhit ho ke karigaron ko bolne lege ki 12 sal honeke last night tak bhi agar ea mandir ban ke teyar nehi hua to me sab ka sir kat dunga,ea sunke 1200 karigaro ki man me chinta agay,aa
     1200 karigaron me se sresth karigar bisu maharana the jo jab wo konark mandir ko nirman karne ayethe tab unke ghar me unke ek beta paida hua tha jinka nam tha  dhrama bodha (dharma) wo ab 12 sal ke hogaye the dharma apne papa ka chera bachpan se nehi dekha tha to wo apne ma se jid karne lega ki me apni papa ko dekhna chahata hun, ea sun ke dharma ke ma parisan hoke ek din use khudi konark jake dekh aneko bole ur sath me unke apne gharke agan me lagahua bar ke phal ko lejane keliye kehete the kiyun ki bisu maharana apne bete ko nehi dekhethe nahi dharma unhe dekhatha to pehechane keliye bar ka phal dharma ko lana pada tha,dharma konark janekeliye ghar se nikla ur pata puchte puchte konark nagri me pahach gaya ur apne papa ko apne parichaya diya ea dekh ke papa bisu maharan bahut khus hogaye, dharma ne wahan sabko dukhi najar me dekh ke papa bisu maharana ko wo dukh ke karan puchte hai tab bishu maharna  ne bolte hai ki 12 sal ke aj akhri rat hai aj agar ea mandir ke upar chumak ke kalas nehi ban paya to raja  kal subhe sabko mrutiyu dand dega, ea dekh ke dharma chintit ho jata hai ur thodi der bat papa ke pas ake bolta hai ki kiya us kam keliye mandir ke upar me jasakta hun,ea sun ke papa bishu maharana asacharya hojata hai kiyun ki uswakt dharma 12 sal ke hi the,dharma bhale hi chhote the pr wo ek mahan karigar ke bete the jinka sarir me ek karigar ka khun beheraha tha,dharma ka  jit ke wajashe papa bisu maharana  ne mandir ko jane ka anumati dete hai ur dharma jhat se upar jake napjoke karke jo kam bade bade karigaron ne nehi kar parehe the un kam ko kuchi ghanto me karke mandir se utar ata hai ea dekh ke sab log heran hojate hai ur khusion se jhum jate hai,thodi der bat unhi karigaron me se kuch log ea bate karte hai ki mandir to ban gaya pr raja ko agar ea bat patachele ki mandir ka kalas hum nehi kisi ek 12 sal ke bache ne lagaya hai to raja ne hamara sir abasya kat dega..nehi nehi hume kuch karna padega ea baten unhi sabhi kari garon me fir ek chinta ke karan bangaya ea khabar sabhi karigarone bisu maharana ko akar batae to wo bhi chintit me pad gaye, jab dharma ko ea baten pata chela tab wo soch ne lega ko jiska janm hota hai wo kabhi na kabhi marta hai kiyun na inhi 1200 logo ki jan bachane keliye apne jan ko kurban kardiya jae,dharma ne ake papa ko apne soch ke bareme bataya ea sun ke papa bishu maharana rone lege ur apne bete ko sath leke kahin dur chelejane ko bolne lege tab unhi 1200 karigaron ne maharana ko ek jan bachane keliye itne logo ke jan khatreme dalna chahete ho to tumhara marji,maharana sabse sresth the isiliye logone unhe dar dar ke bol rehehte pr dharma ko ur sehen nehi horaha tha wo papa ko jid karne lege ur bolne lege ki papa ke sankat me beta agar sath nade to wo beta jibit reheke bhi marjata hai ea keheke wo konark mandir ke upar chad jate hai ur papa ko akhribar pranam karke wo mandir se chandrabhaga nadi ko chhalang lagakar apne jan ke kurban kardete hai,ea dekh ke bisu maharana jor jor se chirla ke rone lagte hai,subhe honeke kuche der baki tha,ur raja ko pata cheljata hai ki mandir nirman pura hogaya hai to wo subhe hote hi dekhne agaye ur samanta ry ur bishu maharana ke bahut prasansa karte hai,
    raja ne mandir ko subhaarambh keliye ek tithi chunte hai per wo jo tithi chunte hai use samanta ry ne mana kardete hai ki ye tithi acha nehi hai pr raja apne jit me atal rehete hai ur apni kehihui tithi me mandir keliye jangyan karte hai ea dekh ke samanta ry ur bisu maharana wahan se chele jate hai,kuchi barso bat mandir ka ek ek hisa tutna suru hojata  hai ea dekh ke raja ne chintit ho jata hai ur soch ne lagta hai ki samant roy ki baten thik tha tab bahut der ho chuka tha ,mandir ke bahut hise dhire dhire tutna suru hogaya ea dekh ke mandir ko band rakaha gaya,kei sal bat mandir ke charo ur bade bade ped hogaye the mandir jahan tha wahan jungle ban gaya tha, jab angrej sasan chel raha tha tab angrejo ko isi mandir ke itihas ke bareme pata chela tab angrejo ne madir ko punah udhar kiye the ur aj jo mandir ap dekhrehe ho wo tuta hua mandir hai,pr ajbhi mandi ko dekh ke usike kala ur sanskruti ke anuman laga sakte ho,
konak-mandir-odisha-ki-history

 konark temple chumbak ke rahasya-
   konark temple ke mandir ke upar ek kalas tha jo ke chumbak ke tha jise 12 sal ke bacha(dharma) ne lagaya tha wo koi ek sadharan chumbak nehi tha, wo ek esa chumak tha ki koibhi chidia ho ya fir koi bhi bastu konark mandir ke upar se gujre ga to wo khinch leta tha utne takat the wo chumbak me,logo ka mana hai wo easa ek rahashyamayi chumak the ur use wo chumak ke upar ese karigari huithi ki wo ek  Arowplain ko bhi khich lene ke takat tha usi chumak me,pr wo chumak abhi nehi hai use kisine chura liya hai,

konark mandir kuch rochak baten-

1-konark mandir 13 century me banatha
2-konark mandir ko gang bans ki raja lungula narasingha dev ke adesh me samant ry ur bishu maharana ne banaye the,
3-konark temple ke punah udhar angrejo no kiya tha-
4-konark mandir ke main hisa yani mandir ke upar kalas dharma ne lagaya tha jo konark mandir ke main karigar ke beta tha,
5-konark mandir ke upar kalas lagane keliye dharma ko apni jan gawana pada tha
6-konark mandir ko 1200 karigaroke duara banaya gaya tha,
7-konark mandir duniya ka ek 7ma rahasya mandir hai,
8-konark mandir ko dunia ke lagbhag sabhi log jante hai-
9-konark mandir me kabhi clour nehi lagaya jata hai unke kala ur sanskruti ko wajaye rakhne keliye
10-naya 10 rupay ki note me jo chakra ke nisan hai wo konark mandir ka ek hisa ka phato hai,
11-konark mandir ko log puja karne nehi mandir ko sirf dekhne keliye hajar matra me har din ate hai,
12-konark mandir ke pas jo chandrabhaga nadi tha wo sukhke abhi kei k.m. deru chela gaya hai yakin nehi hota hai ke dharma ne usi mandir ke uparse chalang lagayethe nadi me,pr ea bat sach hai
***********************************

my self-jagabandhu bag from-balangir(odisha)
                                               thank you
               

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

how can i helf you

टिप्पणी: केवल इस ब्लॉग का सदस्य टिप्पणी भेज सकता है.